Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 2 Complete

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 8 ก.ย. 2024
  • Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 2 Complete
    Buy Mirza Ghalib Poetry Books
    Ghalib: Selected Poems and Letters
    amzn.to/3jHpuQH
    Ghalib: A Thousand Desires
    amzn.to/2ZVUHrw
    Ghazal 1
    aah ko chahiye ek umr asar hote tak
    kaun jita hai teri zulf ke sar hote tak
    aashiqi sabr-talab aur tamanna betab
    dil ka kya rang karun khun-e-jigar hote tak
    ta-qayamat shab-e-furqat mein guzar jaegi umr
    sat din hum pe bhi bhaari hain sahar hote tak
    hum ne mana ki taghaful na karoge lekin
    khak ho jaenge hum tum ko khabar hote tak
    Ghazal 2
    daim paaa hua tere dar par nahin hun main
    khak aisi zindagi pe ki patthar nahin hun main
    kyun gardish-e-mudam se ghabra na jae dil
    insan hun piyala o saghar nahin hun main
    ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye
    lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahin hun main
    had chahiye saza mein uqubat ke waste
    aakhir gunahgar hun kafar nahin hun main
    kis waste aziz nahin jaante mujhe
    lal o zamurrad o zar o gauhar nahin hun main
    Ghazal 3
    dost gham-khwari mein meri sai farmawenge kya
    zakhm ke bharte talak naKHun na badh jawenge kya
    be-niyazi had se guzri banda-parwar kab talak
    hum kahenge haal-e-dil aur aap farmawenge kya
    hazrat-e-naseh gar aawen dida o dil farsh-e-rah
    koi mujh ko ye to samjha do ki samajhawenge kya
    Ghazal 4
    hairan hun dil ko roun ki pitun jigar ko main
    maqdur ho to sath rakhun nauhagar ko main
    chhoda na rashk ne ki tere ghar ka nam lun
    har ek se puchhta hun ki jaun kidhar ko main
    jaana pada raqib ke dar par hazar bar
    ai kash jaanta na tere rah-guzar ko main
    Ghazal 5
    ishrat-e-qatra hai dariya mein fana ho jaana
    dard ka had se guzarna hai dawa ho jaana
    tujh se qismat mein meri surat-e-qufl-e-abjad
    tha likha baat ke bante hi juda ho jaana
    Ghazal 6
    phir kuchh ek dil ko be-qarari hai
    sina juya-e-zakhm-e-kari hai
    phir jigar khodne laga nakhun
    aamad-e-fasl-e-lala-kari ha
    Ghazal 7
    koi din gar zindagani aur hai
    apne ji mein hum ne Thani aur hai
    aatish-e-dozakh mein ye garmi kahan
    soz-e-gham-ha-e-nihani aur hai
    bar-ha dekhi hain un ki ranjishen
    par kuchh ab ke sargirani aur hai
    de ke khat munh dekhta hai nama-bar
    kuchh to paigham-e-zabani aur hai
    Ghazal 8
    wo firaq aur wo visal kahan
    wo shab-o-roz o mah-o-sal kahan
    fursat-e-karobar-e-shauq kise
    zauq-e-nazzara-e-jamal kahan
    dil to dil wo dimagh bhi na raha
    shor-e-sauda-e-khatt-o-khal kahan
    thi wo ek shaKHs ke tasawwur se
    ab wo ranai-e-khayal kahan
    Get Social With Us :-)
    / bananapoetry
    / bananapoetry
    / banana_poetry
    / bananapoetry

ความคิดเห็น • 47

  • @Rohiid
    @Rohiid 4 ปีที่แล้ว +8

    Waiting for season 3🤘

  • @user-bi8uh5fq3q
    @user-bi8uh5fq3q 4 ปีที่แล้ว +27

    Love this compilation . Would be appreciated if you use the Urdu script as well . Urdu needs to live on , let's not neglect it.

  • @mohammadahmadnaz9232
    @mohammadahmadnaz9232 3 ปีที่แล้ว +5

    The Greatest poet of The Subcontinent !!!

    • @AzharKhan-lq9ud
      @AzharKhan-lq9ud ปีที่แล้ว

      Greatest poet of the world not the subcontinent.

  • @rahilsiddiqui1557
    @rahilsiddiqui1557 4 ปีที่แล้ว +4

    Lajawab !

  • @mggaming2940
    @mggaming2940 3 ปีที่แล้ว +3

    I like it galib ❤️

  • @ameerkhan3089
    @ameerkhan3089 2 ปีที่แล้ว

    aur b bahut sare acchi acchi shayari hii ghalib sab jo is ma nahi hi

  • @synapsexcracked501
    @synapsexcracked501 4 ปีที่แล้ว +17

    GHALIB is the GOD of Urdu poetry ❤️

    • @shermm9802
      @shermm9802 3 ปีที่แล้ว

      mirza abdul qader bedil dehlavi god of farsi poetery

    • @shazakahmedazmi
      @shazakahmedazmi 7 หลายเดือนก่อน

      Khuda Ek hi hai.🎉

  • @abdulmofizabdul973
    @abdulmofizabdul973 4 ปีที่แล้ว +4

    بہت عمدہ ، رپلائی کیلیے

  • @Zeeshankashani
    @Zeeshankashani 3 ปีที่แล้ว +2

    We feel our pain in his verses 🥀

  • @PAGALxx
    @PAGALxx 2 ปีที่แล้ว

    Bahut achaaa

  • @user-dv8eg9gb8g
    @user-dv8eg9gb8g 4 ปีที่แล้ว +1

    behtareen...

  • @anyone2721
    @anyone2721 4 ปีที่แล้ว +5

    Dil chhoo lene wali poetry

  • @psychogamer1298
    @psychogamer1298 3 ปีที่แล้ว +2

    Mirza ghalib shahab ke baad meer taki meer shahab h uske baad itna bada shayar ni paida hua🙏🙏

  • @aerocurious8013
    @aerocurious8013 4 ปีที่แล้ว +3

    I missed listening to this...

  • @ranjhaofficial4306
    @ranjhaofficial4306 3 ปีที่แล้ว +2

    🥺🥺🙏🙏I love galib

  • @mohammadahmadnaz9232
    @mohammadahmadnaz9232 3 ปีที่แล้ว +2

    I agree with Darafsha Sultana, see below which she wrote: Love this compilation. Would be appreciated if you use the Urdu script as well. Urdu needs to live on, let's not neglect it. I live in London, England.

  • @mohammadyounus6641
    @mohammadyounus6641 4 ปีที่แล้ว +5

    Beautiful voice according to taste of poetry
    It is requested that upload at least one ghazal daily plz

    • @BananaPoetry
      @BananaPoetry  4 ปีที่แล้ว

      we will try our best

    • @ateeqkhan8938
      @ateeqkhan8938 4 ปีที่แล้ว

      Be ShaQ Har ek Ashar Bahut kimti bahut nayaab aap ki bahut respct lkn
      Aap ny apni khubsurat awaz ka sahi estimall nahi kiya aap ny har ek ashar ko ek he andaz pe parda..ashar ky mafhoom ko samjh kar apni awaaz nahi de...Ek khatt ki tarah aap pardty chaly gye
      Lkn shuqriyaa itni kimti vidos ko uplood karny ka

  • @sohelansari853
    @sohelansari853 3 ปีที่แล้ว +1

    Best ever

  • @niyazjammu3722
    @niyazjammu3722 ปีที่แล้ว

    Awaz masha allah 👌

  • @mirzaarmaghaan33
    @mirzaarmaghaan33 4 ปีที่แล้ว +2

    "سادگی پر اس کی مر جانے کی حسرت دل میں ہے..." یہ غزل پیش کی جائے

  • @shahfaisalkhan6977
    @shahfaisalkhan6977 3 ปีที่แล้ว +1

    Mirza ghalib

  • @shindeysmathsandscience7620
    @shindeysmathsandscience7620 ปีที่แล้ว

    I love you for this

  • @s_teem3394
    @s_teem3394 3 ปีที่แล้ว +1

    Galib ♥️

  • @aerocurious8013
    @aerocurious8013 2 ปีที่แล้ว

    I come here every time to listen

  • @vishnukarle7716
    @vishnukarle7716 2 ปีที่แล้ว

    I love Galib.

  • @shoaibmahaldar7132
    @shoaibmahaldar7132 4 ปีที่แล้ว +7

    You have an amazing voice

  • @ajaybaskandi291
    @ajaybaskandi291 4 ปีที่แล้ว +1

    ♥️♥️🌼

  • @hasibulhasansaad7045
    @hasibulhasansaad7045 2 ปีที่แล้ว

    We want another season

  • @oceanadeepknowledge9894
    @oceanadeepknowledge9894 4 ปีที่แล้ว +3

    Mein acha na hua, bura na hua

  • @navyaa6333
    @navyaa6333 3 ปีที่แล้ว

    Beautiful 👌😊

  • @greytesla
    @greytesla 3 ปีที่แล้ว

    Asl me 'ghalib' hai, 'ghalib' mohabbat ho ke gurbat ho,
    Zamana yohi usse 'ghalib' nhi kehta.
    ---
    Saami

  • @lahmacunlahmacun6444
    @lahmacunlahmacun6444 ปีที่แล้ว

    How we can understand with out subtitles someone recommend plz with subtitles ones

  • @pranavchaudhary9855
    @pranavchaudhary9855 4 ปีที่แล้ว +2

    Bro can you please tell me,
    How to get deep voice? Please...

  • @shfiqbaaghii2611
    @shfiqbaaghii2611 3 ปีที่แล้ว +6

    Please agr ye tarjuma urdu me krty to acha hota.....

  • @sushilkumartripathi4803
    @sushilkumartripathi4803 3 ปีที่แล้ว +1

    Hindi me likhe tabhi eska ananad hai

  • @ritamazarbhuiya7038
    @ritamazarbhuiya7038 2 ปีที่แล้ว

    Is it Bach's cello suite playing in the background?

  • @mohammadfaisal3649
    @mohammadfaisal3649 4 ปีที่แล้ว

    I would like to suggest you to increase the speed of saying please..... Its too slow

  • @sultanahmed6940
    @sultanahmed6940 3 ปีที่แล้ว

    0