POEM OF PAST - HIGHBORN || VISUALISER || ANEDYA ARTS

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 17 ก.ย. 2024
  • PROD./MIX-MASTER :- HIGHBORN
    VISUALISER :- ANEDYA ARTS
    LYRICS:-
    Gaye jo zamane se ghar chorh kar
    Na jaane kyu vo vapas hi nahi aa rahe hain
    Nahi hai vo mohabbat ke lie raazi meri
    Hai kayamat unhe phir bhi hum samjha rahe hain
    Na jaane kaise haal pe tum chorh gaye ho
    Sitam yeh ke tum haal bhi nai puchte hai
    Khush hue the tumhe vapas aatey dekh kar
    Acha! Toh humare khat lautaney aa rahe ho
    Sab hona chahte hain kisi na kisi par
    Koi yaha kisi ka bhi toh hua nahi
    Meri ashqui pe karte ho sawaal tum
    Shayad meri aankhon ko tumne kabhi parha hi nahi
    Yeh kaisi wafa hai jaan le gai
    Die bas sitam aur tabah kar gai
    Main maangu bhi kya tu aa toh sahi
    Iss dil mein jagha sadaa kar gai
    Ke aankhon se aansu bhi aatey nahi
    Dil ki galiyon mei teri intezaari rahi
    Sham o subah bekarari rahi
    Jab gaye the toh murh ke bhi dekha nahi
    Rakhi baatein saari kisko ab sunau
    Main chorh dia kehna bas khamoshiyan sunau main
    Saari raat karte phone the baat
    Ab kisko jaake apni yeh kahaniyan sunau main
    Likha jo bhi pehle tumhe hi sunaye
    Tu sunke mere geet unhe gungunati jaye
    Dede rog apne saare koi sog bhi na aye
    Jb bhi dekhe mujhe tu bas muskurati jaye
    Aur milein phir vahi hum morh pe
    Lautaye the khat jaha chale gaye the chorh ke
    Phir pataa chala uske dil mei koi aur tha
    Khaye jaye mujhe umar bhar afsos yeh

ความคิดเห็น • 60