Abbas ka Lasha mai nahi laya Sakina | Ali Mohammad Sultanpuri | New Noha | ASH Bhanauli Sadat

แชร์
ฝัง
  • เผยแพร่เมื่อ 5 ก.ย. 2024
  • Nohay 2021 | Abbas Ka Lasha Main Nahi Laya Sakina | Ali Mohammad Sultanpuri Nohay | New Noha 2021
    8 Moharram 1443/2021
    Related to- Hazrat Abal Fazlil Abbas a.s
    Recited by- Ali Mohammad Sultanpuri
    Poetry & Composition - Waiz Hasan Sultanpuri
    Location- Bara Imambargah, Bhanauli Sadat
    Posted by- Azadari Bhanauli
    Lyrics Abbas ka lasha mai nahi laya sakina
    Sakina haye sakina ...
    Bhai ki Judai ka liye dard jigar par
    Dariya se jab aayen h shahe deen palat kar
    Thi dar pa khadi sayyad e mazloom ki dukhtar
    Aye ahle aza dard me duba tha wo manzar
    Baba ki taraf dekh ke roti thi sakina
    Dikhla ke alam padhte the shabbir ye noha
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    Laya hun tarai se alam khoon me duba
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    Baba se meri ladli naraz na hona
    Abbas ka lasha mai nahi laya sakina
    1.
    Jab khali alam leke mai dariya se chala tha
    Har ek qadam par mai yahi soch raha tha
    Phat jaye na masoom sakina ka kaleja
    Jab apni dulari se mai ye Jake kahunga
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    2.
    Chalta hai kaleje pe mere dard ka khanjar
    Mara gaya pyasa mera mazloom baradar
    Malta hua hathon ko mai aaya hun palat kar
    Ye dard mere dil se juda ho nhi sakta
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    3.
    Mujhse tere ammun ne kaha tha meri pyari
    Abbas ye aakhri khwahish thi dulari
    Le jana na khaime ki taraf lash hamari
    Puri huyi abbas e dilawar ki tamanna
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    4.
    Chota na karo dil meri nadan sakina
    Qismat ka likha hai ye meri jaan sakina
    Tujh par ye tera baap ho qurban sakina
    Ye baat meri ladli dil me nhi rakhna
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    5.
    Abbas ke lashe ko tassuwur me bna lo
    Ji bhar ke chacha jaan pe ashkon ko baha lo
    Ammu alam laya hun seene se laga lo
    Rah jaye na ye dil me qalaq aye meri dukhiya
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    6.
    Dil par jo mere zakhm laga kaise bataun
    Is waqt mera haal hai kya kaise btaun
    Sadma Jo mujhe aaj hua kaise btaun
    Ab dil mera har waqt isi gham se phatega
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    7.
    Masoom sakina ko kaleje se laga kar
    Roye hain bahut der talak sibte payambar
    Kahte the ki ab sabr karo aye meri dukhtar
    Maine wo kiya jo mere bhai ne kaha tha
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    8.
    Waiz wo musibat ki badi sakht ghadi thi
    Masoom sakina dare khaima pe khadi thi
    Aur lash alamdar ki dariya pe padi thi
    Shabbir ke is bain se kohram tha barpa
    Abbas ka lasha mai nhi laya sakina
    Video Tags
    Laya hun tarai se alam khoon me dooba abbas ka lasha mai nahi laya sakina, waiz hasan sultanpuri, ali mohammad sultanpuri new nauha 2021, ali mohammad 2021 nauha, ali mohammad noha, new nauha bhanauli sadat, Azadari Bhanauli, nohay 2021, bhanauli nohay, anjuman sipahe hussaini bhanauli sadat, moharram 1443/2021, azadari 2021, haider raza, zuhair qain, abutalib rizvi, nadeem sultanpuri
    ►Social Media:-
    Subscribe : / azadaribhanauli
    Want to chat? Hit me up on social media!
    Instagram: / iamrizvi
    Facebook: / bhanaulisadat

ความคิดเห็น • 36