Thank u so very much sir.... mera KYC ka form hindi mein tha kuch samajh nh raha tha pr aapke English form se sab fill kar diya. .. thanks for big help!! ❤
Agar aap 5 year ka normal FD karte ho to pre mature withdrawal kar sakte ho but penalty lagega, aur agar aap 5 year ka Tax saver FD karte ho to withdrawal nhi kar sakte..
Yeh sab jama Kara Dene ke baad kya kya aur krana padta hai .. matlab FD ka koi certificate milta hai ya card? Aur kitne dino baad milega. Bank mai toh subha karwao toh shaam tak fd certificate mil jata hai
Post Office FD account jasay hi aap ka KYC done ho jata hai aap ka FD ho jati hai. Aur Yes jaise aap ko bank se FD per slip milti hai vaise hi aap ko Post Office FD karane per Slip di jati hai for reference. Baki aap jab FD open karne jaoge to counter per aap ko bata diya jata hai kitne din me aap ki FD open ho jayegi....
@@godpremyt2041 Jaab aap ne FD open karai hogi tab aap ne payment slip fill ki hogi aur branch ki aur se aap ko customer slip stamp kar k di hogi.. so vo hi payment slip aap ko leke jana hai aadhar card k saath 3 din k baad branch me aur aap ko FD details de di jayegi...
Sir Mera saving account already post office mai hai toh FD form kaise bhare....? Kya yeh form waise hi bharega jaise non account wale bharte hai hai ya kuch difference hain?
Sir Fixed deposit karna k turanth bath kew Hamay withdraw form fill karka submit karna partha hai . Plz reply . 5 years ka fd karwaya hai par savings account ma deposit karna ka bath withdraw form fill up karna k liya bola .
Vo aap per depend karta hai aap ko kis scheme me comfortable lagta hai.... Vaise FD and MSSC scheme both are different FD mei aap tenure apne hisab se select kar sakte ho 1,2,5 year aur aap ko interest accordingly milega but MSSC scheme me minimum 2 year ka lockin period hota hai jaha aap ko minimum 2 saal k lia paise jama karne hoge aur aap ko 7.5% ka compounded interest milega.... Aur MSSC sirf women and girl children k lia ho hai....
sir aagr saving account na ho toh bhi ho jayega ki phele saving account open karwana padega or sir fd meri mummy ki karwa rha hu jo abhi scheme chl rhi h mahila samman yojna me toh uske liye form par kuch mention karna padega ki nahi
Saving account k bina ki jankari aap ko branch se leni hogi.. Aur Mahila Samman Yojna scheme k lia aap ko account under me MSSC scheme likhna hoga......
lekin sir mujhe jo passbook di h wo white h td krwai h or usme 2 ee page h uspe nation saving scheme likha hua h only and upr Sb 5A likha hai to kya yahi passbook hai btao sir
Agar aap ko FD karni hai post office me to saving account hona jaruri nhi hai.. Bus aap ko FD k time per KYC process complete karna hoga aur aap ki FD account open kar diya jayega...
Paji 5 sal ki td h meri lekin maine farm fil krte time maime yearly intrest ka option pr click nhi kiya to kya mujhe mera intrest yearly mil jayega plz tell me sir
You need to correct it first and the name on both documents should be same.. Still you can go to Post Office with your documents and check with staff..
Sir Mujhe Abi Account Open Karan Hai Post Office Me So ..Ek Form Fill Karna hai saving account ya phir FD Ka Direct ? N Nominee ko jont account k liye rakh sakte hai ya alag alag hona chaiye ..mai Mahila Samaan saving certificate me FD Karane ka soch Rahi Hu . Kuch Samjh ni aa raha mujhe post office ka process
Aap normal FD post office me joint FD bhi kar sakte ho and nominee bhi add kar sakte ho.... Agar aap Mahila Samman Saving Certificate Scheme me FD ka soch rhe ho to Puri details zarur pade jaise ki - maximum amount for FD is 2 lakh - fixed aap ko 2 years ki hi karni hogi - 7.5 % p.a interest rate aap ko milega Etc So ek baar sabhi details padh kar fir aap es scheme me apply kare...
Mera pehle se saving acount hai post office me, agar me 1 lakh ka FD karna chahunga to kya pehle withdrwal karna hoga ya fir mere saving account se post office wale debit kar lenge ?
Mujhe senior citizens account m fd krna h post office m but vha koi senior citizen account nhi h na unke name pe post office m koi saving account to kya mai scss m fd krva skti hu please reply
Agar aap cheque se jama karna chate ho to es k 2 methods hai... 1. Cheque issue in favor of POST MASTER(respective post office). 2. In favour of your name.
sir plz help me listen me carefully first plz mere post office m 5 td h har td m mujhe BZ DOPBNK se message aate h to plzmujhe btaye ki ye fraud message h ya legal h plz tel me sir
Agar aap ko DOPBNK se message ate hai to ye messages POST Bank se sent kiye jate hai for update..... Message me agar koi link mile to usay click kar k open na kare...
Aap Joint FD open kara sakte ho aap ki MOM k sath jismay aap option me "Either or Survivor" Select kar sakte ho.... Nominee zarur rakhe FD open k time per...
Yes aap open kar sakte ho ye account bade koi person k naam per khulega jaab tak kids 10 year ka nhi hoga tab tab us ka guardian(jo account open Kiya hai) vo use karega...
Sir maine sukanya samrudhi yojana account open kiya hai beti ke liye to kya mian apne liye ppf account open kar sakta hun Dono ek sath account open kar sakta hun?
Post office ki website per aap check kar sakte ho or maine ye channel per bhi aap ko latest post office fd rates ki video mil jayegi aap vo dekh sakte ho...
Agar aap cheque se payment karte ho to aap ko cheque POST MASTER k name per issue karna hoga... For example, agar aap ki home branch Kolkata Head Post Office hai to aap ko cheque issue karna hoga POST MASTER, KOLKATA H.P.O k name per...
Sir mujhe five years ke liye one lakh post office me fixed diposit Krna hai aur mujhe five years me kitna total entrance milega aur documents sab kya chahiye fixed diposit krte wakt aur mujhe five years ke baad hi total payment lena hai aisa possible hai please reply me sir 🙏🙏🙏🙏🙏
Yes agar aap ko 5 years ki hi FD/TD karni hai to aap kar sakte ho, aap ko FD auto renew nhi karni hai es ka dhyan rakhna hoga form bharte samay aur INTEREST rates aap ko latest hi milega jo ki abhi 7.5 % dikha raha hai......
Aap ko branch me visit karna hai aur Duplicate FD Certificate k lia apply karna hoga... Es k lia aap ko ek application likh kar dena hoga.. Fir aap ko aap ki FD ka Duplicate certificate mil jayega...
Sir 1 year baby k form me kyc ka Jo form aata hai to usme applicant me kis ka naam aayega babay ka ya father or others details usme kis ka bhrana hai baby ka father ka?
Es video k description section me maine Withdrawal video ki link di hai aap vo video dekh kar FD withdrawal kar sakte ho.... Agar aap ne auto renew nhi kiya hai FD ko aur Credit to SB option select kiya hai to direct aap k Saving Bank account me amount credit ho jaayegi...
@@TechnoPaaji sir post office me kyc karane par aadhar link no par otp bhi aata hai kya hame pan card banane ke liye ka ha tha to ham pan bana ke gaye the to bola kyc hoga please🙏🙏 reply me
Mera fd karne keliye form diya tha auuu withdrawal form with fixed deposit form diya tha par. Me jab post office gya to bola apka fd book nehi he 😢😢😢😢 Ab me kya karu money withdrawal ka message aye he par fd ka nehi 😢😢😢😢 Please reply Kya karu kese nikalu pese
Maine jointB me fd karvaya 100000 ka 5 years ke liye lekin Bo ne 25000 ka char pasbook me fd kar diya ab jab ham paisa nikalane ke liye gaye to usane 3 pasbook me self karava diya hai or 1 me jointB hai ab jiske name se self hai unki mrityu ho gaya hai kya kare Bo ke khilaph
Yadi aap ko koi query hai to aap comment kar sakte ho may reply dene ka try karuga.....
Ager main RD ko tin saal ke liye krwana chahti hu to ho skta h
No RD aap ko minimum 5 years ki karni hogi...
Pan card ka date of issue kaha pr hota ha?
Aur mera pan card updaye nhi kiya hai wo minor ka hi hsi to chalega kya ????
sir mera query yeh hai ki agar main august main fd open karta hu 2 sal ke liye TOH MUJHE KITNE PERCENT INTEREST MILEGA
Thank u so very much sir.... mera KYC ka form hindi mein tha kuch samajh nh raha tha pr aapke English form se sab fill kar diya. .. thanks for big help!! ❤
Best deposit konsa ha....5 yr kar karwane ke bad bech mein withdraw kar sake
Agar aap 5 year ka normal FD karte ho to pre mature withdrawal kar sakte ho but penalty lagega, aur agar aap 5 year ka Tax saver FD karte ho to withdrawal nhi kar sakte..
It helps me in filling post office form - thank you
Most welcome....
Thanks for Details helped alot
Thank you pajii ❤❤😊
Thanks for the detailed info paaji 🙂🙂
Sir ek doubt hai cheque bharte waqt pay to ______ kya likhu kyu ki post office me account nh khula h na uska kyc form bhara hai jaise aapne bataya
Cheque me Pay to jis ko cheque dena hai us ka name likhna hoga... Pura name sahi se likhna hoga..
Yeh sab jama Kara Dene ke baad kya kya aur krana padta hai .. matlab FD ka koi certificate milta hai ya card? Aur kitne dino baad milega.
Bank mai toh subha karwao toh shaam tak fd certificate mil jata hai
Post Office FD account jasay hi aap ka KYC done ho jata hai aap ka FD ho jati hai.
Aur Yes jaise aap ko bank se FD per slip milti hai vaise hi aap ko Post Office FD karane per Slip di jati hai for reference.
Baki aap jab FD open karne jaoge to counter per aap ko bata diya jata hai kitne din me aap ki FD open ho jayegi....
@@godpremyt2041 Jaab aap ne FD open karai hogi tab aap ne payment slip fill ki hogi aur branch ki aur se aap ko customer slip stamp kar k di hogi.. so vo hi payment slip aap ko leke jana hai aadhar card k saath 3 din k baad branch me aur aap ko FD details de di jayegi...
@@TechnoPaaji muje ni di slip bolaa passbook k liee aanaa bs
Sir
Mera saving account already post office mai hai toh FD form kaise bhare....? Kya yeh form waise hi bharega jaise non account wale bharte hai hai ya kuch difference hain?
Same jaise maine aap ko ye video me bataya hai vaise hi bharna hai.
Sir fd ka interest annually credit hota hai ki maturity ke time amount+ interest milta hai??
FD ka interest annually calculate hota hai aur aap annually interest aap k saving account me le sakte ho application submit kar k....
@@TechnoPaaji saving account post office ka hi chahiye ki bank ke Saving account me credit ho sakta hai?
Yes PO ka hi chaia saving account..
sir maine 5 sal ki td m intrest ka yearly option pr tik mark nhi kiya to kya nera yearly intrest ayega 5 sal ki td m plz tell me
Vese to ek baar FD open hone k baad aap change nhi kar sakte but aap home branch visit kare waha se aap ko complete information mil jaayegi....
apne saving account ka paise se FD karvana ho toh deposit slip mein kyy choose karee
Aap cheque payment mode choose kar sakte ho...
Sir Fixed deposit karna k turanth bath kew Hamay withdraw form fill karka submit karna partha hai . Plz reply . 5 years ka fd karwaya hai par savings account ma deposit karna ka bath withdraw form fill up karna k liya bola .
Ha bhai leta hai mera bhi liya इसी liye video dekh Raha hu
Post office main kon c FD open krwami chahiye aj kal MSSC wali yojna b chal rhi h plz reply me
Vo aap per depend karta hai aap ko kis scheme me comfortable lagta hai.... Vaise FD and MSSC scheme both are different
FD mei aap tenure apne hisab se select kar sakte ho 1,2,5 year aur aap ko interest accordingly milega but MSSC scheme me minimum 2 year ka lockin period hota hai jaha aap ko minimum 2 saal k lia paise jama karne hoge aur aap ko 7.5% ka compounded interest milega.... Aur MSSC sirf women and girl children k lia ho hai....
sir aagr saving account na ho toh bhi ho jayega ki phele saving account open karwana padega or sir fd meri mummy ki karwa rha hu jo abhi scheme chl rhi h mahila samman yojna me toh uske liye form par kuch mention karna padega ki nahi
Saving account k bina ki jankari aap ko branch se leni hogi..
Aur Mahila Samman Yojna scheme k lia aap ko account under me MSSC scheme likhna hoga......
kya 5 year ki td m agr humne yearly intrest wale option pr click na kiya ho to kya hume hmara intrest nhi milega yearly plz tell me
No aap ko fir 5 saal baad maturity per hi milega..
kya abh td krwane pr white color ki pasbook aati hai or upe nationl saving scheme likha hotta h kya plz tell me
Yes Red+white color ki Passbook aap ko milegi...
lekin sir mujhe jo passbook di h wo white h td krwai h or usme 2 ee page h uspe nation saving scheme likha hua h only and upr Sb 5A likha hai to kya yahi passbook hai btao sir
Plz reply🙏Yadi post office me pehle se savings account nhi hai to kya Bina savings account open kiye fd open Kara sakte hai??..
Yes aap kar sakte ho..
1 lakha rakha ne se kya cheque book karna jaruri he only cash rakha ne me problem hoga kya
No problem but agar aap 50,000 se upar ki FD cash se karne jate ho to aap apna PANCARD leke zarur jaye.. Branch me zarur pad sakti hai..
@@TechnoPaaji tq
@@TechnoPaaji cheque book hota he usme kuch lautri milta he kya
Joint fd ke liye joint khata hona jaruri h kya
No zaruri nhi hai. Jaab aap FD open kare tab account type sahi de select kare...
😢
Kya post office me seving account kholwan pade ga kya
Agar aap ko FD karni hai post office me to saving account hona jaruri nhi hai.. Bus aap ko FD k time per KYC process complete karna hoga aur aap ki FD account open kar diya jayega...
Bahut achha Lagta.
Thanks
Fd/Td 5year ka karne per every year interest ke paise aayenge?? Saving account pe??
Yes aap ko Yearly interest aap k saving account me mil jayega, form per aap ko Interest me Yearly select karna hoga.
Mujhe scss scheme me karana hai 3 sal ke liye ho sakta hai kya lekinwaha term 5 years likha hai 3 sal ke liye ho skata hai
No... Pehle aap ko 5 years ka karna hoga fir aap 3-3 year renew kar sakte ho....
Hello sir muje mere perents ki name pe joint fd deposit karna hai (post office) toh uske liye kya muje joint saving bank account form fill karna hoga?
Aap same form fillup kar k open kara sakte ho...
Account type me aap ko "Either or Survivor (Joint B)" tick karna hoga
Monthly invest karna hai to wo FD me convert hota hai ???
Vo aap ko RD karna hoga...
sir agr fd agent k dwara ki gyi ho to kya hum direct jakr pramature krwa skte h plz tell me sir
Yes aap ko documents lene jana hoga....
BEAUTIFUL VIDEO
TD Ke liye withdrawal form bhi to fill karna hota hai ya nahi..kripya bataye
Agar pre mature withdrawal karna hai to hi withdrawal form fill karna hai..
@@TechnoPaaji thanks 👍
Hi sir maine post office me ssa account kholwaya hai . Kya fd me wahi account no. Dena hai. Ya phir blank hi rakhna hai.
No aap ko blank hi rehne dena hai..
Ok sir thank u 😃
Sir, TD ka form aapne jo fill up kiye us mein toh saving bank account ka koi option nhi hai.. Phir kaise aayega interest???
In second page aap ko Standard Instruction k column me aap ko likhna hoga.
Td ki Pay in slip me saving account ka payment dalna he,kese dale
Aap saving account ka cheque se payment kar sakte hi TD me.
Agar cheque se na karen toh saving account ka details kaise diya jaye??
@@sabitaswain7566 Fir aap ko cash se payment karna hoga
Paji 5 sal ki td h meri lekin maine farm fil krte time maime yearly intrest ka option pr click nhi kiya to kya mujhe mera intrest yearly mil jayega plz tell me sir
Vese to ek baar FD open hone k baad aap change nhi kar sakte but aap home branch visit kare waha se aap ko complete information mil jaayegi....
paji aap
ye btaye ki fd 5 sali m yearly intrest credit ho jayega kya saving accm m
Agar aap ne form me tick kiya hoga yearly interest per to aap ko mil jayega...
If i have name mismatch in pan and adhaar card what should i do? Is there any problem?
If not which name should I have to use?
You need to correct it first and the name on both documents should be same.. Still you can go to Post Office with your documents and check with staff..
@@TechnoPaaji staff told me that name is not an issue
Ok but i will recommended you to change the name first and then only do it so that at the time of maturity you don't face any issue regarding this..
Maturity pe Paise kaise milte hain in cash ya saving account me transfer ho jata ha??
FD open karne k time agar aap ne deposit to SV account select Kiya hoga to aap k saving account me direct transfer ho jayega on maturity....
Sir Mujhe Abi Account Open Karan Hai Post Office Me So ..Ek Form Fill Karna hai saving account ya phir FD Ka Direct ? N Nominee ko jont account k liye rakh sakte hai ya alag alag hona chaiye ..mai Mahila Samaan saving certificate me FD Karane ka soch Rahi Hu . Kuch Samjh ni aa raha mujhe post office ka process
Aap normal FD post office me joint FD bhi kar sakte ho and nominee bhi add kar sakte ho....
Agar aap Mahila Samman Saving Certificate Scheme me FD ka soch rhe ho to Puri details zarur pade jaise ki
- maximum amount for FD is 2 lakh
- fixed aap ko 2 years ki hi karni hogi
- 7.5 % p.a interest rate aap ko milega
Etc
So ek baar sabhi details padh kar fir aap es scheme me apply kare...
@@TechnoPaaji
Okay Thank U So Much ...👍🙏💓
Mai Itne Din Se Kewal Soch Rahi Thi N Comment Kar Rahi Thi Kafi Channel Par But Koi Response Ni Aaya ..🙏🙏🙏
Most Welcome...
Sir mera post office m ac ha m na td renew karwani hai
Aap ko renew form fill up karna hoga...
खाता खोलना और fd करना दोनों एक ही फ़ॉर्म से एक साथ हो सकता है क्या?
Account open aur FD open k lia same form hi fill karna hoga magar agar aap ko dono cheej karni hai to 2 form alag alag fill karne hoge...
Thanks☺☺☺
Sir mujhe td krwane k bhad BZ DOPBNK naam se message aya tha to iska mtkb ki mera fd ho chukka hai plz tell me sir
Agar aap ko DOPBNK se message aya hai to ye aap ko Post Bank Department se bheja gya hai..
Lekin sir BZ likha hua th pehle iska kya mtlb hota hai
5years ke Td ke baad pura paisa saving bank account pe aayega ya post office jana padega???
Second page me maine es ki jankari di hai aap ko TD to SB likhna hoga taki maturity per direct aak k saving account me amount deposit ho jaye...
Thank you sir,, 🙏🙏
Thank you sir
Mere me pan card ka issue date print nahi hai, wo khali chhod sakta hu
Yes vo blank rehne de aur KYC k time Pan Card ki photocopy zarur leke Jaye...
Thanks 🙏
Post office ke aadhikari mna kr rahe hai IPPB ACCOUNT kholne ko kiya kru
Aap reason puchia kyu nhi open kar rahe..
@@TechnoPaaji sar mene bola ki likh kr dedo me complete kr di
Mera pehle se saving acount hai post office me, agar me 1 lakh ka FD karna chahunga to kya pehle withdrwal karna hoga ya fir mere saving account se post office wale debit kar lenge ?
Saving account se direct debit ho sakta hai.. Aap branch me jake bolna hai saving amount ki FD karni hai...
@@TechnoPaaji thank you
Signature of witnesses not required sir ?
Mujhe senior citizens account m fd krna h post office m but vha koi senior citizen account nhi h na unke name pe post office m koi saving account to kya mai scss m fd krva skti hu please reply
Yes aap SCSS account open Kara sakte ho...
Fd form jama krne ke bad hame receiving kitne day de deta hai ya pass book milta hai
Aap ko turant mil jayegi receipt jaise hi aap form submit karenge..
@@TechnoPaaji passbook milna chahiye n sir j
@@TechnoPaaji aur maine NSC five years ke liye kiye NSC shi hota h n hame to total payment five years ke baad hi nilega sir j
Sir agar fd ke paise by cheque jama karengy to cheque kiske name par hoga?
Please reply
Agar aap cheque se jama karna chate ho to es k 2 methods hai...
1. Cheque issue in favor of POST MASTER(respective post office).
2. In favour of your name.
@@TechnoPaaji thankyou ❤️
Fd amount maturity me kha deposit hoga Iska details Kha bhrna hoga???
FD Maturity per aap full amount withdrawl kar sakte ho aap k Post Office Saving Account me ya bank account me.
@@TechnoPaaji post office Jana hoga payment ke liye???
Auto bank account me nhi aa payega ky after maturity????
sir plz help me listen me carefully first plz
mere post office m 5 td h har td m mujhe BZ DOPBNK se message aate h to plzmujhe btaye ki ye fraud message h ya legal h plz tel me sir
Agar aap ko DOPBNK se message ate hai to ye messages POST Bank se sent kiye jate hai for update..... Message me agar koi link mile to usay click kar k open na kare...
Sir cash mein vo hamare aacount se paisa debit karenge na agar hamara saving account hai to
Yes..
sir maine small letters mai form fill kiya koi problem nahi hai na?
No problem...
Sir fd krne k baad receipt milega ya passbook
Receipt milega aap ko...
Ek question jo Account holder Type me kya tick karu? Mera joint account hai maa ke sath, aur mein joint holder hu
Agar aap ko joint FD open karni hai to app Either or Survivor option select kar sakte ho..
Mummy ke sath joint F. D. Kyse open hoga or dhyan dene yogya bate kya h jisse aake koi dikkat na ho or nomini na dene pe koi problem...
Aap Joint FD open kara sakte ho aap ki MOM k sath jismay aap option me "Either or Survivor" Select kar sakte ho.... Nominee zarur rakhe FD open k time per...
kya kyc form bharna compulsory hai
Yes
@@TechnoPaaji kya 10 lakh se upar ka td khulwa sakte h
Yes aap kar sakte ho... Upper limit nhi hai aap jitna chaho utne ki TD kar sakte ho..
Kids me age limit kitni Hoti he @Agar 5 sal age he to FD account khul Sakta he
Yes aap open kar sakte ho under "guardian on behalf of minor" account
@@TechnoPaaji Hindi pless
Yes aap open kar sakte ho ye account bade koi person k naam per khulega jaab tak kids 10 year ka nhi hoga tab tab us ka guardian(jo account open Kiya hai) vo use karega...
Fd account open karne liye photo compulsory hai kya?
Yes
Sir maine sukanya samrudhi yojana account open kiya hai beti ke liye to kya mian apne liye ppf account open kar sakta hun
Dono ek sath account open kar sakta hun?
Yes aap dono account open kar sakte ho SSY account and PPF account.
Sir Maine FD karwa hai..1year k liye,to sir check book me sign karke liy
I mean..unlogon se kaha check book me sign karke apke account se direct paise fixed ho jayega account me..sir bahut dar LG Raha hai
No worries asa hoga hai aur ye safe bhi hai taki aap k pass record rhe.. Aur ye cash deposit se bhi jyada safe hai..
@@TechnoPaaji thanks you sir..mai bahut dari Hui thi.. thank you for reply
Sir ji...2nd page me jo aapne fd to sb kha h write ke liye..pr mera sb. Account nhi h..
Vo optional hai agar aap ka SB account nhi hai to blank hi rehne do...
@@TechnoPaaji ok.ji
Kitana rate of interest milega ye kaise pta chalega??
Post office ki website per aap check kar sakte ho or maine ye channel per bhi aap ko latest post office fd rates ki video mil jayegi aap vo dekh sakte ho...
sir ager hum apna fd renewl krwate h to jo phle ek saal ki fd ka intrest hoga wo hume mil jayega kya plz tell me sir
Yes agar aap ko interest chaia to aap ko mil jayega aur same principal amount ko aap renew karva sakte ho..
Ye bataiye Bina khata khule post office mein fd kara sakte Hain
No..
Fd account open hoja ga
First saving account and then FD open hoga...
Thank u
Sir mis k liye same form he Naa??
Or me interet direct Bank me lene k liye ECS mandate form fillup karna padega kya??
Yes same form MIS k liye fill karna hoga... Aur MIS Interest direct saving account me leke k lia ECS form fillup karna hoga....
Scsss ka form fill krke video bnae
Agar aap ko SCSS scheme me form fill karne hai to same form fill karna hoga.. Opening account me aap ko SCSS per tick karna hoga...
Cheque me Pay_____ option me kya likhna hai
Agar aap cheque se payment karte ho to aap ko cheque POST MASTER k name per issue karna hoga...
For example, agar aap ki home branch Kolkata Head Post Office hai to aap ko cheque issue karna hoga POST MASTER, KOLKATA H.P.O k name per...
@@TechnoPaaji thank u 😊
Thanks
Thank you 🙏
Background music disturb kar rhi , isliye video beech me hi chod rhe hai , video bnate time music band kare please
Sir mujhe five years ke liye one lakh post office me fixed diposit Krna hai aur mujhe five years me kitna total entrance milega aur documents sab kya chahiye fixed diposit krte wakt aur mujhe five years ke baad hi total payment lena hai aisa possible hai please reply me sir 🙏🙏🙏🙏🙏
Yes agar aap ko 5 years ki hi FD/TD karni hai to aap kar sakte ho, aap ko FD auto renew nhi karni hai es ka dhyan rakhna hoga form bharte samay aur INTEREST rates aap ko latest hi milega jo ki abhi 7.5 % dikha raha hai......
7.5 percentage ke hisab se onne lakh k five years ke liye kitna entrance milega please reply me sir
@@TechnoPaaji auto renew kya hota h sir j
Auto renew ka matalab aap ko FD ko renew karne ki zarurat nhi hai vo maturity date per automatically renew ho jaayegi...
Joint account kholne ke liye dono logo ko post office Jana hoga kya?
Please bataiyega.
Video bahut badiya hai, subscribe kar diya hai.
Yes dono account holder ko branch visit karna hoga at the time of account opening....
Thanks for subscribing.....
Sir, mera bahut purana FD hai Post office me...lekin uska paper gayab ho gya hai...
Koi receipt nhi hai mere paas..
Wo FD kaise milega mujhe?
Aap ko branch me visit karna hai aur Duplicate FD Certificate k lia apply karna hoga... Es k lia aap ko ek application likh kar dena hoga.. Fir aap ko aap ki FD ka Duplicate certificate mil jayega...
Phle se post office me account nhi h to bhi ye khul skta h
Yes aap TD karva sakte ho...
How to open a fd account for minor through guardian
You need to fill same form as I have shown in this video and you need 2 witness sign on the form to open minor FD account.
Sir me 15000 ka fd karna chata hu kya document lagaega ma minor hu
Aap ko guardian ki details leke Jana hoga sath me... Aadhar card and KYC details
Kitne sal ke liye fd karunga wo haha likhna hoga
Aap ko scheme me likhna hoga jitne bhi saal ki fd karni ho vo...
Example: 1 year TD
5 sal km Bahen K baccho ko nominee kr skte h qa
Yes aap rakh sakte ho but es condition me bhi aap ko ek aur person ko appoint karna hoga to receive money jab Tak aap ka child major nhi ho jata....
Sir 1 year baby ki FD kar skte hai?
Yes kar sakte ho but jab Tak baby bada nhi ho jayega tab Tak guardian ka name add hoga...
Sir 1 year baby k form me kyc ka Jo form aata hai to usme applicant me kis ka naam aayega babay ka ya father or others details usme kis ka bhrana hai baby ka father ka?
Sir FD complete hone ke badd kon sa form fill karna hota hai is topic par video upload kijiye🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Es video k description section me maine Withdrawal video ki link di hai aap vo video dekh kar FD withdrawal kar sakte ho....
Agar aap ne auto renew nhi kiya hai FD ko aur Credit to SB option select kiya hai to direct aap k Saving Bank account me amount credit ho jaayegi...
@@TechnoPaaji sir post office me kyc karane par aadhar link no par otp bhi aata hai kya hame pan card banane ke liye ka ha tha to ham pan bana ke gaye the to bola kyc hoga please🙏🙏 reply me
Mera fd karne keliye form diya tha auuu withdrawal form with fixed deposit form diya tha par. Me jab post office gya to bola apka fd book nehi he 😢😢😢😢
Ab me kya karu money withdrawal ka message aye he par fd ka nehi 😢😢😢😢
Please reply
Kya karu kese nikalu pese
Aap KYC documents leke post office branch jaye wha aap k documents se jo FD link hogi vo pta chal jayega....
@TechnoPaaji kyc document me kya kya lagta hai
Aap aadhar card, pan card and saving account passbook leke Jana...
Witness kha par dalni hai
Witness Second page nomination section k niche diya gya hai waha aap likh sakte ho..
Agar pehle se saving account hoto kese krna pdega
To bhi aap ko same form bharna hai....
Es ke sath mere se ek chek bhi liya es ke sath leta hai ka paise uthane wala
Maine jointB me fd karvaya 100000 ka 5 years ke liye lekin Bo ne 25000 ka char pasbook me fd kar diya ab jab ham paisa nikalane ke liye gaye to usane 3 pasbook me self karava diya hai or 1 me jointB hai ab jiske name se self hai unki mrityu ho gaya hai kya kare Bo ke khilaph
Nomanee bhi nahi hai
Aur chro pasbook me dono ka photo laga kar signature or mohar lga diya hai kya kare please bataiye
Aap ko aap k paise zarur mil jayege.. But aap ko es k lia home branch me jana hoga sabhi FD leke.. Waha se hi aap ko pura process bataya jayega
Sir mujhe 25 hasar ki fd karni h 5 sal ke liye
Yes Aap kar sakte ho... Same process jo maine video me bataya hai...
@@TechnoPaaji 5 sal pure hone ke bad fir 5 sal ke liye kar sakte h ya fir ek sath 10 saal ke liye kar sakte h
FD kaise tore
FD withdrawal form fill up kar k aap FD close kar sakte ho...
Thanks
Witness kha par dalni hai
Witness Second page nomination section k niche diya gya hai waha aap likh sakte ho..