you are absolutely right . Books of osho like 1) Main mrityu sikhata hun 2) shiv sutra 3) Geeta Darshan 4) Jin Khoja tin paaya - has changed my life forever. ❤❤❤❤❤❤❤❤
Osho brought about a spiritual revolution of sorts and its after-effects are visible even to this day. Not a single thinker of the 60's, 70's or the 80's was untouched by Osho' philosophy.
Anandji I personally feel Osho (Rajneeshji) is a beacon of light which can guide us to the superunkown. He was the most harmonious and rational guru who has the capacity to influence an athiest to become a seeker. He cuts through a rational mind slice by slice and makes him/her experience his/her true self. 🙏
Anand Sir is week me maine Netflix par Osho ke life par 6 episodes ki ek series dekhi jiska naam tha 'Wild Wild Country'. Sir is series me Osho ki life ke baare me kafi kuch bataya gaya aur khaas kar unhone jo America me Rajneespuram city banae thi series mainly uske bare me thi. Sir series dekhkar mein itna hairaan reh gaya ki kaise America me ye log spirituality ke naam par aashram me kewal मन और इन्द्रियों की गुलामी ही कर रहे थे और कुछ नही। Khud Osho ne jis tareke aur tone me vahan baat ki thi vo ek dushmani bhari language thi jo shayad kisi Guru, Sant ya Bhagwan se bilkul bhi expected nahi hoti hai. Yahan tak ki unka America Jane ka purpose hi yehi tha ki inka ye sab nonsense itna openly yahan India me to chalne wala tha nahi. Sir Kabhi Mauka mile to aap bhi zaroor dekhiyega ye series. Jo cheeze inke aashram me chalati thi, ek sache satya ke khoji ko vo baatein kabhi bhi sahi lagne wali nahi hai! It was a big eye opener for me.
Wild Wild Country maine daikha or main aapse sahmat hoon......originally osho aise nahin the......lagta hai koi kisi bhi height per ho , gir sakta hai........phirbhi mujhe lagta hai ki osho ko time milta to we sambhal jate
@@AnandDwivedi369 Thank you Anand sir. Aapke reply se kuch baatein clear hoti hai Jo mein express kar Raha hu👇🏻 कुदरत को सज़ा देने के अपने तरीके होते हैं, अध्यात्म के नाम पर आपके अगर अपने कुछ अपवित्र मायावी एजेंडा है तो सावधान रहिए, ये बहुत ही शुद्ध चीज़ है। केवल सत्य के glimpses मिलना और सत्य जानकर उसमे में सदा के लिए स्थापित/stabilise होना और माया के चंगुल से हमेशा के लिए आजाद रहना ये दो अलग अलग बातें है। सच्चा गुरु मिलना बहुत ही दुर्लभ है, वो आपको सत्य श्रवण, सेवा और साधना द्वारा आपको मन और इन्द्रियों की गुलामी और tendencies से सदा बहार निकलने की training देंगा तकी साधक माया की Risk से हमेशा के लिए free होजाए अंध भक्ति से सावधान रहना है, भरपूर common sense ka इस्तमाल करना है
@@AnandDwivedi369pr maine suna hai jaise ki Premanand maharaj ji bhi kehte hain ki enlightened person pr shadripu ka koi prabhav nhi padta jaise ki bhuna chna ankurit nhi ho sakta. To Osho kaise hir gye yadi bo sthit pragya the. Please clear my doubts sir. I’ll be very grateful
आपने बहुत अच्छा ही एक्सप्लेन किया और निंदा ना करते हुए उनके जो प्रवचन है उनको प्वाइंट आउटकिया । और यह सत्य क्या बात है किस समय के हिसाब से प्रवक्ता अपने वक्तव्य को थोड़ा alter करता है , ताकि maas जमा हो सके । मैं आपके वर्णन से पूर्ण रूप से संतुष्ट हु ( main yaha batana chahta hu ki main osho ko bhut sunta hu)
4:25 Anand Sir Beatles Band members had also visited India in the late 60's to learn meditation from Mahesh Yogi. But they too left his aashram & their trip was also an infamous one, i heard they left for all wrong reasons!
@@AnandDwivedi369 you're absolutely right Anand sir, hamare Guruji bhi kehte hai ki sada dusro me kewal गुण he dekhne hai, ye karne se dusro ke ve saare acche गुण aap me aane lagenge as per law of observation, aur अवगुण dekhne se hamare ander unke अवगुण aa jayenge, aur Ishwar ne sabme kuch na kuch अच्छाई to di hi hai
Ya aisa bji ho sakta hai ki is dharti pr fir janm lene ke liye kuch aisa kiya ho ki koi kadi reh jaye yhan punah ane ke liye. Unhone enlightened beings ke punarjanm ki kya conditions hoti hain uspr bhi bola hai.
Thanks for sharing your views. Always very helpful. Can you talk about how do you reconcile and still absorb God worship and Advaita wrt Brahmana. While technically God is everywhere and it will still allign with Advaita but it's very difficult to really understand the impersonal bhamana with much more personal God like Krishna ( i.e. vaishanava philosophy).
Ek baat or. Osho ne har kisi ke bare me bola jyadatar criticise kiya especially apne contemporary but Neem kraroli baba ke bare kabhi kuch nhi bola. Ye ek rahasya savlga mujhe kyunki vo unke contemporary the fir bhi nhi bole
Sir sahi rah pe kese chale firse Paap ke raah se satchai aur adhyatm se kese jude - kyuki khudke sath bethna ya logo ke bich asaan nahi hai jab aapko pata hai aapne duskaram kiye ho Me sadme me hun , kisko 1 saal se hurt Kiya hai , parivar logo jimmedari se dur bhag raha tha, isolation me ji raha tha , indriyo ko bhog raha tha , jeene se aur jimmedariyo se dar lag raha hai , anjane me bahot hurt Kiya ab thik kese karen , jese hypnosis me ji raha tha , khudse aur reality se dur ( please koi kahani ho to uske dvara samajaye ) . ( Ke koi paapi aur darpok ne life ko sahi kiya ho itihas me esi koi kahani ya aapke anubhav se koi kahani )
@@AnandDwivedi369 thank you sir ✨🙏🏻 thank you for answering ( agar koi kahani ko kisi nakam aur papi insaan ki jisne life ko sahi kiya ho to please share kijiyega bhvisy me aane wale videos me )
Osho samay or samne wali ke stithi ke hisab se bat bolte h uncle ji wo keval es par jyda jor dalte h ki aap kuch h or aap jo h aap wo bane kya aap es bat se sehmat h ki osho yahi sochte the har insan kuch h wahi kuch khojna h
Sir...Aapke baal kitne achhe hain😮😮..aaj mera 29 saal pura hua..aur iss umra me hi mere baal bahot jhad chuke hain...kya aap kkuchh tips de skte hain? Maine apne baalon me abb chemical lagana bilkul band kar diya hai...aur usey saaf karna hota hai to nimboo ka istemal karta hun...fir bhi baal jhad hi rhe hain.
Nimbo Mt lgao...vo khane ki cheej hai...sees asan kro...baal itne majboot bn jayenge k khichne se b nahi totenge....aur balon pr deyan Mt do....natural trreke se raho..simple balon ko saaf krne ka koi halka shampo ja sabun lga lo...aur kush nahi krna....bs natural chod do...aur deyan chod do balon ka ....
Sir ek bat bataiye kaha gaya h ki apne Mann ki nai Sunni chahiye Aur Osho Mann ke anukul chalne ko kehte hai Ab kya ye contradictory nai hai Ek spirituality ka master Mann ko badhawa de raha hai aur wahi jo Mann(mind) hai usko galat kaha jata h
Mere khayal se jo do baatein aapne kahi wo do alag alag logo se unki alag alag pareshani ko dhyan mei rakhte hue kaha hai. For example, Maan lete hai ki pehla Banda alasi hoga jis wajah se apni life mei dukh paa raha hoga ,to use keh diya ki tu man ki mat sun, aur mehnat kr. Aur dusre bande ko Maan lete hai mehnati hoga par dusron ko khush karta rehta hoga, jis wajah se wo dukhi hai. To use kaha ki apni man ki suno, dusron ki nahi. Gaur karne wali ye baat rahegi, ki kis answer se kese dukh mit raha hai, aur kis insaan ka dukh mit raha hai. Shayad is tarah se soche to sense banta hai.
@@shiningsouls9074 Osho unke ek video me kehte h ki jo kutta hai usko haddi chusna acha lagta hai jabki haddi me koi ras hai hi nai Uske muh me haddi se ghaav hote h aur usi ka khoon uske gale me jata h aur usko lagta hai ki swaad aaraha hai ab dikkat ye hai ki apan haddi kaha kaha chuus rahe hai apan ko lagta hai ki Anand mil raha hai lekin kuch bahut bada nuksan ho raha hota h Meditation me zarur admi thoda pagal kam rehta hai Lekin jaise hi vapas aya duniya me uska Mann fir bhaagta h Spirituality jo h vo ek bahut bada vishay hogaya hai aur har admi ki spirituality ki definition alag h 😂 Mere hisab se Mann ko sahi chije sikhana aur usko vahi lagaye rakhna hi ek tapasya hai aur usi ka fal mukti hai
Aap se yeh umid nahi thi ki aap osho ki tarif kare. Agar sex foreigners ko pasand he toh osho unhe unke countries me gyan de na ki bharat me. Osho ki bahut si bate galat bhi he, toh iska yeh matlab nahi he ki haam osho ko andhadhun follow kare. Ek sachcha sant kabhi bhi sano sokat me nahi rahna chahga. Kripa karke- aap kisi ke gungan na karke, unke acchi baat hi bateyen, bina naam liye.
sant ka matlab garib nahi hota . gareebi me tum kisi ko influence karne ki taakat nahi rakhte .aur rahi baat ki osho ki baatien galat thi, are aajkal ke nakli sadhu mahatma to banke ghumte phir rahe hain, kya tumhe unki baaten sahi lagti hain? sab logon ko gumrah karne me lage hain aur satya se parichit koi nahi kara raha
@@ashvathama-zi9vf Bhai mene kab kaha ki ajkal ke sab sant acche he. Aur tum osho followers ko itna mirch ku lag jata jab koi unke galti ko galti kahe. Tum osho ke andhbhakt ho, iska matlab sabhi andhbhakt ho jaye koi jaruri toh nahi. Dusari baat 'sant kabir das' bhi garib thee lekin aaj bhi log unhe yaad karte he. Bhagwan ko bhi maat mano jab tak unhe tum Jaan na lo. Sawam bhagwan 'budh' ji ne kaha hee tatha krishna ji ne bhi kaha he. Raha Satya se parchit ki baat toh uah bhool hi jayo fhilhal ke liye. Because yeh koi aloo gobhi nahi he ki koi bhi jaye aur kharid le aye
@@dineshyadav-cx7sb clarity ke liye , mai osho ka andhbhakt nahi hu. Satya to yah hai ki mai kisi ka bhakt nahi hu. Mai har baat ko tark aur vivek se sochne ki koshish karta hu. Ha osho ki kayi baaten utni sahi nhi hai, bahut si unhone uttejna me boli thi. Par Mera unko pasand karne ka mukhya kaaran hai ki vo dogle nahi the . Reality ko Bina ghuma phira kar , bina yah soche vo kitno ko offend karega , bolne Wale insaan mujhe pasand hain.
@@dineshyadav-cx7sb baaki mai kisi ke cult following me vishwas nahi rakhta . Mujhe lagta hai ki apna common sense enough hai iss duniya me sahi se jeene ke liye
you are absolutely right . Books of osho like 1) Main mrityu sikhata hun 2) shiv sutra 3) Geeta Darshan 4) Jin Khoja tin paaya - has changed my life forever. ❤❤❤❤❤❤❤❤
गुरु जी बहुत सुंदरता से आपने सारांश दिया ओशो का, "ओशो तो समुंदर हैं, अच्छे गोताखोर बनो तो मोती चुन लाओगे"
Osho got me into spirituality.He taught me the true meaning of life.True master👏
Osho is my FIRST spritual teacher! At beganing I use to disagree with some things but later in life I agree them... I love him so much.
Osho brought about a spiritual revolution of sorts and its after-effects are visible even to this day.
Not a single thinker of the 60's, 70's or the 80's was untouched by Osho' philosophy.
Anandji I personally feel Osho (Rajneeshji) is a beacon of light which can guide us to the superunkown. He was the most harmonious and rational guru who has the capacity to influence an athiest to become a seeker. He cuts through a rational mind slice by slice and makes him/her experience his/her true self. 🙏
Nice video 🙏🏻
Anand Sir is week me maine Netflix par Osho ke life par 6 episodes ki ek series dekhi jiska naam tha 'Wild Wild Country'. Sir is series me Osho ki life ke baare me kafi kuch bataya gaya aur khaas kar unhone jo America me Rajneespuram city banae thi series mainly uske bare me thi.
Sir series dekhkar mein itna hairaan reh gaya ki kaise America me ye log spirituality ke naam par aashram me kewal मन और इन्द्रियों की गुलामी ही कर रहे थे और कुछ नही। Khud Osho ne jis tareke aur tone me vahan baat ki thi vo ek dushmani bhari language thi jo shayad kisi Guru, Sant ya Bhagwan se bilkul bhi expected nahi hoti hai. Yahan tak ki unka America Jane ka purpose hi yehi tha ki inka ye sab nonsense itna openly yahan India me to chalne wala tha nahi.
Sir Kabhi Mauka mile to aap bhi zaroor dekhiyega ye series. Jo cheeze inke aashram me chalati thi, ek sache satya ke khoji ko vo baatein kabhi bhi sahi lagne wali nahi hai!
It was a big eye opener for me.
Wild Wild Country maine daikha or main aapse sahmat hoon......originally osho aise nahin the......lagta hai koi kisi bhi height per ho , gir sakta hai........phirbhi mujhe lagta hai ki osho ko time milta to we sambhal jate
@@AnandDwivedi369 Thank you Anand sir.
Aapke reply se kuch baatein clear hoti hai Jo mein express kar Raha hu👇🏻
कुदरत को सज़ा देने के अपने तरीके होते हैं, अध्यात्म के नाम पर आपके अगर अपने कुछ अपवित्र मायावी एजेंडा है तो सावधान रहिए, ये बहुत ही शुद्ध चीज़ है।
केवल सत्य के glimpses मिलना
और
सत्य जानकर उसमे में सदा के लिए स्थापित/stabilise होना और माया के चंगुल से हमेशा के लिए आजाद रहना ये दो अलग अलग बातें है।
सच्चा गुरु मिलना बहुत ही दुर्लभ है, वो आपको सत्य श्रवण, सेवा और साधना द्वारा आपको मन और इन्द्रियों की गुलामी और tendencies से सदा बहार निकलने की training देंगा तकी साधक माया की Risk से हमेशा के लिए free होजाए
अंध भक्ति से सावधान रहना है, भरपूर common sense ka इस्तमाल करना है
true
@@AnandDwivedi369pr maine suna hai jaise ki Premanand maharaj ji bhi kehte hain ki enlightened person pr shadripu ka koi prabhav nhi padta jaise ki bhuna chna ankurit nhi ho sakta. To Osho kaise hir gye yadi bo sthit pragya the. Please clear my doubts sir. I’ll be very grateful
इसे कहते हैं परिपक्वता।❤
आपने बहुत अच्छा ही एक्सप्लेन किया और निंदा ना करते हुए उनके जो प्रवचन है उनको प्वाइंट आउटकिया । और यह सत्य क्या बात है किस समय के हिसाब से प्रवक्ता अपने वक्तव्य को थोड़ा alter करता है , ताकि maas जमा हो सके । मैं आपके वर्णन से पूर्ण रूप से संतुष्ट हु ( main yaha batana chahta hu ki main osho ko bhut sunta hu)
Thankyou thankyou thankyou
दिल से आभार ❤ आप बहुत बहुत अच्छे है sir ji🙏
4:25 Anand Sir Beatles Band members had also visited India in the late 60's to learn meditation from Mahesh Yogi. But they too left his aashram & their trip was also an infamous one, i heard they left for all wrong reasons!
yes .....my approach is : SAAR SAAR KO GAHI RAHE.....THOTHA DEI UDAYA
@@AnandDwivedi369 you're absolutely right Anand sir, hamare Guruji bhi kehte hai ki sada dusro me kewal गुण he dekhne hai, ye karne se dusro ke ve saare acche गुण aap me aane lagenge as per law of observation, aur अवगुण dekhne se hamare ander unke अवगुण aa jayenge, aur Ishwar ne sabme kuch na kuch अच्छाई to di hi hai
Love thisTopics
APV school short film dekhi
I cried bohet khubsurat log or place ❤
amazing.
namaste uncle ji🙏
your videos help me a lot
thanks
Naman 🌹🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🌹🙏🏻🌹
Bahut bahut bahut bahut dhanyawad ❤
Ya aisa bji ho sakta hai ki is dharti pr fir janm lene ke liye kuch aisa kiya ho ki koi kadi reh jaye yhan punah ane ke liye. Unhone enlightened beings ke punarjanm ki kya conditions hoti hain uspr bhi bola hai.
Thanks for sharing your views. Always very helpful.
Can you talk about how do you reconcile and still absorb God worship and Advaita wrt Brahmana. While technically God is everywhere and it will still allign with Advaita but it's very difficult to really understand the impersonal bhamana with much more personal God like Krishna ( i.e. vaishanava philosophy).
I see all personal gods as HUMANS who evolved into SUPERHUMANS and now exist as souls/bodhisatwas to help humanity....
Ek baat or. Osho ne har kisi ke bare me bola jyadatar criticise kiya especially apne contemporary but Neem kraroli baba ke bare kabhi kuch nhi bola. Ye ek rahasya savlga mujhe kyunki vo unke contemporary the fir bhi nhi bole
Nisargadatta maharaj ji par bhi please jald se jald video bnaiye please
abhi inca pata nahin hai mujhe.......
@@AnandDwivedi369 ji... Aap apne according pta kar bataiyega please
Sir kal mahatma pe video ana hi chahiye
Guruji kya hum aapke aashram aa sakte hai meditation karne ke liye
jee
@@AnandDwivedi369 ❤️
Compassion kya hota h
divine love
Thanks sir ❤❤
💐💐💐💐💐💐🙏👼
🙏
Sir sahi rah pe kese chale firse
Paap ke raah se satchai aur adhyatm se kese jude - kyuki khudke sath bethna ya logo ke bich asaan nahi hai jab aapko pata hai aapne duskaram kiye ho
Me sadme me hun ,
kisko 1 saal se hurt Kiya hai , parivar logo jimmedari se dur bhag raha tha, isolation me ji raha tha , indriyo ko bhog raha tha , jeene se aur jimmedariyo se dar lag raha hai , anjane me bahot hurt Kiya ab thik kese karen , jese hypnosis me ji raha tha , khudse aur reality se dur ( please koi kahani ho to uske dvara samajaye ) .
( Ke koi paapi aur darpok ne life ko sahi kiya ho itihas me esi koi kahani ya aapke anubhav se koi kahani )
meditation shuroo kijiye...usesei sarei dushkarmon ka asar mit jata hai
@@AnandDwivedi369 thank you sir ✨🙏🏻 thank you for answering ( agar koi kahani ko kisi nakam aur papi insaan ki jisne life ko sahi kiya ho to please share kijiyega bhvisy me aane wale videos me )
🙏🙏
Osho samay or samne wali ke stithi ke hisab se bat bolte h uncle ji wo keval es par jyda jor dalte h ki aap kuch h or aap jo h aap wo bane kya aap es bat se sehmat h ki osho yahi sochte the har insan kuch h wahi kuch khojna h
jee
sir manifestation k aur examples deke video banao
Sir...Aapke baal kitne achhe hain😮😮..aaj mera 29 saal pura hua..aur iss umra me hi mere baal bahot jhad chuke hain...kya aap kkuchh tips de skte hain? Maine apne baalon me abb chemical lagana bilkul band kar diya hai...aur usey saaf karna hota hai to nimboo ka istemal karta hun...fir bhi baal jhad hi rhe hain.
Happy birthday❤
Nimbo Mt lgao...vo khane ki cheej hai...sees asan kro...baal itne majboot bn jayenge k khichne se b nahi totenge....aur balon pr deyan Mt do....natural trreke se raho..simple balon ko saaf krne ka koi halka shampo ja sabun lga lo...aur kush nahi krna....bs natural chod do...aur deyan chod do balon ka ....
shayad hereditary hai.......waise baal na bhi rahein to kya ferk padta hai !
Sir ek bat bataiye
kaha gaya h ki apne Mann ki nai Sunni chahiye
Aur Osho Mann ke anukul chalne ko kehte hai
Ab kya ye contradictory nai hai
Ek spirituality ka master Mann ko badhawa de raha hai aur wahi jo Mann(mind) hai usko galat kaha jata h
khud ki hi understanding badhani hogi
Mere khayal se jo do baatein aapne kahi wo do alag alag logo se unki alag alag pareshani ko dhyan mei rakhte hue kaha hai.
For example, Maan lete hai ki pehla Banda alasi hoga jis wajah se apni life mei dukh paa raha hoga ,to use keh diya ki tu man ki mat sun, aur mehnat kr.
Aur dusre bande ko Maan lete hai mehnati hoga par dusron ko khush karta rehta hoga, jis wajah se wo dukhi hai. To use kaha ki apni man ki suno, dusron ki nahi.
Gaur karne wali ye baat rahegi, ki kis answer se kese dukh mit raha hai, aur kis insaan ka dukh mit raha hai. Shayad is tarah se soche to sense banta hai.
@@shiningsouls9074 Osho unke ek video me kehte h ki jo kutta hai usko haddi chusna acha lagta hai jabki haddi me koi ras hai hi nai
Uske muh me haddi se ghaav hote h aur usi ka khoon uske gale me jata h aur usko lagta hai ki swaad aaraha hai ab dikkat ye hai ki apan haddi kaha kaha chuus rahe hai apan ko lagta hai ki Anand mil raha hai lekin kuch bahut bada nuksan ho raha hota h
Meditation me zarur admi thoda pagal kam rehta hai
Lekin jaise hi vapas aya duniya me uska Mann fir bhaagta h
Spirituality jo h vo ek bahut bada vishay hogaya hai aur har admi ki spirituality ki definition alag h 😂
Mere hisab se Mann ko sahi chije sikhana aur usko vahi lagaye rakhna hi ek tapasya hai aur usi ka fal mukti hai
Aap please enlightened jo huye h unke naam bataiye
dusron ke bare mein kuchh nahin kah sakte
@@AnandDwivedi369 ji😊
osho कहा है टॉपिक mein
To aur kis k bare mein btayea ja reha rahe hai bai....
Kripaya aap nietzsche ke baare me mat vyakt kare
ये कौन है वे
Sir i can teach in your school completeed bed with mathmatics
stay i touch
@@AnandDwivedi369 ok sir
Aap se yeh umid nahi thi ki aap osho ki tarif kare.
Agar sex foreigners ko pasand he toh osho unhe unke countries me gyan de na ki bharat me.
Osho ki bahut si bate galat bhi he, toh iska yeh matlab nahi he ki haam osho ko andhadhun follow kare.
Ek sachcha sant kabhi bhi sano sokat me nahi rahna chahga.
Kripa karke- aap kisi ke gungan na karke, unke acchi baat hi bateyen, bina naam liye.
sant ka matlab garib nahi hota . gareebi me tum kisi ko influence karne ki taakat nahi rakhte .aur rahi baat ki osho ki baatien galat thi, are aajkal ke nakli sadhu mahatma to banke ghumte phir rahe hain, kya tumhe unki baaten sahi lagti hain? sab logon ko gumrah karne me lage hain aur satya se parichit koi nahi kara raha
@@ashvathama-zi9vf Bhai mene kab kaha ki ajkal ke sab sant acche he. Aur tum osho followers ko itna mirch ku lag jata jab koi unke galti ko galti kahe. Tum osho ke andhbhakt ho, iska matlab sabhi andhbhakt ho jaye koi jaruri toh nahi. Dusari baat 'sant kabir das' bhi garib thee lekin aaj bhi log unhe yaad karte he. Bhagwan ko bhi maat mano jab tak unhe tum Jaan na lo. Sawam bhagwan 'budh' ji ne kaha hee tatha krishna ji ne bhi kaha he.
Raha Satya se parchit ki baat toh uah bhool hi jayo fhilhal ke liye. Because yeh koi aloo gobhi nahi he ki koi bhi jaye aur kharid le aye
Thanks 🙏

🙏🏻